Friday, December 12, 2014

15 iconic DDLJ dialogues that we know by heart


As the film completes 1000 weeks in the theater on 12th December, we take you down the memory lane and list 15 iconic dialogues from the film.


Yahaan mujhe koi nahi jaanta, siwaye inn kabootaron ke. Kyuniki yeh bhi meri hi tarah hai. Inka bhi koi desh nahi, jahan dana dekha utar gaye aur pet bhar kar udh gaye
Fail hona aur padhai na karna, ye humare parivaar ki parampara hai
Akhir ek Hindustani hi Hindustani ke kaam aata hai
It's okay senorita, bade bade desho mein aisi chhoti chhoti batien hoti rehti hai
Main ek baar phir train chhodna nahi chahti.
Par main chahta hoon ki yeh train bar bar chhoote
Raj agar yeh tujhe pyaar karti hai, to yeh palat ke dekhegi. Palat... Palat...
Tum mujhse pyaar karti ho?
Sabse zyada
Mujhpe bharosa hai?
Khudse bhi zyada


Koi bhi ullu ka pattha sirf ek angoothi pehanakar tumko mujhse nahi chheen sakta
Aap bhi kamaal karti hai maaji, ek pal mein beta keh diya aur dusre pal mein paraya kar diya
Meri ma kaha karti thi, jo shaadi wale ghar mein seva karta hai, usko bahut sundar dulhan milti hai
Desh ke bahar niklo toh sab kuch mil sakta hai, lekin bhabi ke haath ki matthi nahi mil sakti
Main galat thi Simran. Meri beti apni khushiyon ki bali nahi chadayegi, woh apni pyaar ki kurbani nahi degi.
Aap logon ki rone ki bimari khandaani hai kya?
Toh kya hua agar maine jhoot sirf tumhe paane ke liye kaha tha? Toh kya hua agar tumhare chehre ke sivah mujhe koi aur chehra dikhai nahi deta? Toh kya hua agar tumhare naam ke sivah mujhe koi aur naam yaad nahi rehta? Toh kya hua agar yeh awara tumhe deewano ki tarah pyar karta hai? Toh kya hua? Pyaar sab kuch toh nahi hota na
Ja Simran ja, jee le apni zindagi